मैं शब्दों के मोहजाल नहीं बिछा सकता,
क्योंकि मैं कवि नहीं हूँ
मैं एक आम आदमी हूँ।
पंक्तियों पे पंक्तियाँ नहीं बिठा सकता
क्योंकि मैं इन्हें बनाना नहीं चाहता
बस ये बनती चली जाती हैं।
इनके बनने में मेरा सिर्फ एक योगदान है
कि मुझे हिन्दी लिखनी आती है।
आम आदमी होने का अनुभव
स्वयं में एक कविता है।
लेकिन कविता ख़ूबसूरती की नहीं,
बदसूरती की भी नहीं
वह कविता सिर्फ रेंग सकने की आपाधापी है
वह कविता ज़िन्दगी से जूझती नहीं
बल्कि ज़िन्दा रहने की कशमकश है।
यह वह कविता है जो ज़िन्दा तो है
पर कब मर जाए कोई ठिकाना नहीं।
और मरने वाला चाहे और कुछ भी हो
पर ख़ूबसूरत नहीं होता।
और इसीलिए
मैं अपनी कविता में शब्दों के मोहजाल नहीं बिछा पाता,
पंक्तियों पे पंक्तियाँ नहीं बिठा पाता।
pragya di
ReplyDeleteaapki rachnaaon me sarbhara ya yun kah len aam aadmee kee baat jo ubhar kar aatee hai wo sirf prasansneey hee nahee anukarneey bhee hotee hai.
aapkee rachna me sahajtaa aur prateekaatmaktaa bhee dekhne ko miltee hai.
vishay wastu ko lekar aapke bodh ka anubhaw kavitaa padhte hee swtah ho jata hai.
achhi lagee rachna
thank u shashi! vaise ye rachna bahut purani hai..ab aisa nai likh paati
ReplyDeletecomment to nahee karanaa chahataa tha par kavita ke saath anyaay hotaa...........
ReplyDeletekavita ki itanee vyaapak vyaakhyaa shaayad anytr naa mile .....vaise kavi yaa insaan kavitaa likh nahee sakataa ........vah dil me chhupe bhaawon ko samaaj patal par saarvajanik karane ki cheshtaa karataa hai ........bas log use kavitaa ki sangyaa de deten hai ...........jaishankar prasaad ke mahakavy aansu ki shabd seemaa kaa aakalan koi bhi kar sakataa hai parantu bhaaw vrit kaa aakalan asambhaw ke samaanantar hai .........kriti ke liye dhanyavad ...
compliment k liye thank u shiva...par comment kyon nai karna chahte the?
ReplyDeletedo kaaran hain .....
ReplyDelete1-- swarthi kism ke log hain ham agar kisee ke liye do line likhenge to ek line apane liye bhi chahenge ...either achchha or buraa , dono tarah ke compliments ka ek jaisaa swaagat karaten hain ....par comment aanaa chahiye
2-- abhi itanaa gyaanee aur vidwaan nahee ho paayaa hun ki kisee ki kriti par par koi comment karun par aap logon kaa isee tarah aashirvaad rahaa to kisee din aap khud mujhe khoj kar compliment dengi .....ye meraa abhimaan nahee vishvaas hai .....bas aap logon kaa aashirvaad banaa rahe shivaa par .....bas yahee ikshaa hai ......
tumhari doosari baat par pehle bolna chahungi - kisi ki kriti jab kritikaar ke jehan se nikal kar shabdon k roop me kaagaz par aa jati hai toh uspar comment karne ka har us vyakti ko hak hota hai jo use padhta hai aur uske liye kuch bolna chahta hai..usme kisi ki vidwataa aade nai aati..toh achhe ya bure comment ke liye bilkul free feel karna chahiye.
ReplyDeleteab pehli baat---tumhari rachnaaon k baare mein mujhe mere mail box se pta chalta rehta hai,,padhte b hain lekin agar honestly kahein toh itne dhyaan se nahi padh paate ki uske liye kuchh likh sakein...ye malum hai k kisi b creative insaan k liye apne creation ke upar kiya gya comment bahut maayne rakhta hai, par itni fursat nai milti,,,kabhi kabhi itna hi time mil jaye k blog me ghus kar rachnaaon ko padh lein toh bahut hota hai,,,kai maheenon k baad apna hi blog khola tha,,aaj b agr tumhein reply kar rhi hoon toh kuch cheezon ko pending mein daalkar...lekin main koshish karungi k tumhari kaviton/rachnaaon k bare mein mai kya sochti hoon ye tumhare blog k through tumhein bta sakun..
swaagat hai ............vaise aap padhati hain ye jaan kar bahut khushi hui varanaa kuchh log aisen bhi hain ki unhe mere mail tak vardaast nahee hain .............ant me kathor shabdon ke prayog ke liye karjor maafi chaahungaa parantu agar isake alaawaa kuchh bolataa to jhuth bolataa aur imaanadaari se nahee bol paataa.........baaki comment se jyaada aashirvaad ki jarurat hain mujhe coz comment to itane aate hain ki mai sabako theek se padh bhi nahee paataa hun .........pranaam ji
ReplyDeletemera aashirwaad hamesha tumhare sath hai
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteyah mera saubhagy hoga...........antim pranaam
ReplyDeleteThis peam is very good. yeh ek aam admi ke jindgi ko darsati hai
ReplyDeleteKamal
thank u kamal for the appreciation
ReplyDelete